Translate

Monday, September 23, 2019

GADHPINDAL AUR GADHNARIYAL PART- 1

Hello Doston, Bahut Dino Ke Baad Aaj Waqt Mila Hai Kuchh Naya Likhne Ko Aur Main Hazir Hun Ek Nayi Aur Manoranjak Kahani Ke Saath Jo Aap Sabhon Ko Ant Tak Baandhe Rakhegi.....

Ye Kahani 2 desh Ki Hai Jisme Ek Desh Ka Naam Gadhpindal Aur Dusre Desh Ka Naam Gadhnariyal Tha. Dono Desh Kaafi Hare Bhare Aur Khushhaal The. Dono Desh Ke Beech Mein Ek Vishal Jungle Hua Karta Tha. Jis mein kayi Tarah Ke Janwar Aur Panchhi Raha Karte The. Us Jungle Mein Ek Rakshas Aur Uski Patni Bhi Raha Karti Thi. Dono Roop Dharne Mein Mahir The Aur Roop Badal Kar Apna Shikar Dhoondte The. Fir Mauka Milte Hi Use Maar Kar Kha Jaate The.
Gadhpindal Ke Raja Ki Ek Beti Thi, Jiska Naam Rajkumari Roopshi Tha. Jo Abhi 5 Saal Ki Thi. Jabki Gadhnariyal Desh Ke Raja Ka Ek Beta Tha, Jiska Naam Rajkumar Harsh Tha. Jo 6 Saal Ka Tha. Gadhpindal Ke Raja Chahte The Ki Uski Beti Ki Shadi Gadhnariyal Ke Raja Ke Bete Se Ho. Aur Jab Dono Bade Ho Jaaye To Rajkumari Apne Sasural Chali Jaaye. Ye Soch Kar Unhone Gadhnariyal Ke Raja Ke Paas Apni Beti Ki Shaadi Ka Prastaav Bheja. 
Gadhnariyal Ke Raja Ko Bhi Ye Prastaav Bahut Badhiya Laga. Dono Rajaon Ne Tay Kiya Ki Abhi In dono Ki Shadi Kar Di Jaaye Uske Baad Jab Dono Bade Ho To Unhe Sab Bata Diya Jaaye Uske Baad Hi Rajkumari Apne Sasural Jaayegi. Dono Rajaon Ki Sahmati Se Shadi Ki Tarikh Tay Ho Gayi. Dono Deshon Ke Beech Ki Doori Un Dino 4 Din Ka Tha. 2 Din Jaane Aur 2 Din Aane Mein Lagta Tha. Tay Din Dhoom Dhaam Se Rajkumar Ki Baraat Gadhpindal Ke Liye Nikli Aur Jungle Paar Karte Huye Bina Kisi Pareshani Ke Gadhpindal Pahunchi. Rajkumari Ki Shadi Ke Liye Poore Desh Ko Dulhan Ki Tarah Sajaya Gaya Tha. Tay Samay Par Shadi Ki Saari Rashmein Poori Huye. 1 Din Wahan Rukne Ke Baad Baraat Wapas Lautne Ke Liye Tayyar Huye. Usi Samay Gadhpindal Ke Raja Ne Ek Bahut Hi Sundar Ghoda Rajkumar Ko Uphaar Swaroop Diya Aur Rajkumar Ke Pita Ko Uski Khoobi Batate Huye Kaha, " Ye Koi Sadharan Ghoda Nahi Hai, Isme Anekon Shaktiyan Hain. Yah Udd Bhi Sakta Hai Aur Apne Maalik Ke Kahe Anusaar Roop Bhi Badal Sakta Hai. Iski Kayi Khoobiyan To Mujhe Ab Bhi Pata Nahi Hai. Main Chahta Hun Ki Jab Rajkumar Bada Ho To Wo Rajkumari Ko Lene Isi Ghode Par Baith Kar Aaye. Ye Kuchh Hi Ghanto Mein Rajkumar Ko Yahan Pahuncha Dega."
   Uske Baad Baraat Wapas Laut Gayi. Baraat Jab Jungle Ke Karib Pahunchi To Tez Barish Hone Lagi. Is Karan Jungle Ke Kinare Thodi Doori Par Ek Unche Se TiLeh Par Padaao Dala Gaya Aur Baarish Thamne Ka Sabhi Log Intejar Karne Lage. Raat Bhi Ho Chuki Thi, Saare Sanik Mustaid The. Unhe Pata Tha Jungle Ke Khoonkhar Janwaron Aur Rakshas Ke Baare Mein. Raja Ne Bhi Aadesh De Rakha Tha Vishesh Nigrani Ka. Tabhi Andhere Mein Ek Sher Aur Sherni Unki Aur Badhte Dikhe. Sher Ne Ek Sainik Ko Daboch Liya Ye Dekhte Hi Baaki Sainikon Ne Baano Se Sher Par Hamla Kar Diya. Sher Is Achanak Huye Hamle ke Liye Tayyar Nahi Tha Is Karan Ek Saath Kayi Teer Usko Ja Lage.
Ek Dardnaak Cheekh Se Poora Vatavaran Goonj Utha. Sherni Tab Tak Surakshit Tilhe Ke Kuchh Door Upar Pahadi Tak Ja Pahunchi Thi. Rajkumar Tab Tak So Chuka Tha. Raja Apne Sainikon Ke Saath Mare Huye Sher Tak Pahuncha, Use Dekh Kar Hairani Huye Ki Sher Ka Roop Badal Gaya Tha Aur Uske Jagah Rakshas Mara Pada Tha. Raja Bahut Khush Hua Ki Chalo Ab Logon Ka Is Rakshas Se Darr Khatam Hua. Tabhi Pahadi Par Khadi Sherni Insano Jaisi Aawaz Mein Boli. " Aye Raja Abhi To Main Ja Rahi Hoon, Par Yaad Rakhna Jaise Tune Mera Suhaag Mujhse Chhina Hai, Main Bhi Wada Karti Hoon Tera Beta Agar Wapas Apni Patni Ko Lene Ke Liye Gaya To Use Mere Haathon Marne Se Koi Nahi Bacha Paayega."
Too Be Continued......







Kya Rakshasi Apna Badla Le Paai, Kya Rajkumar Harsh Rajkumari Roopshi Ko Paa Saka? In Saare Sawalon Ke Jawab Aap Sabhi ko Agle Bhaag Mein Milega.

Sunday, February 24, 2019

Ghazal: Rukta Bhi To Rukta Kaise...

Door Raho Humse, Ab Hum Nahi Rahe Pahle Jaise.
Milte The Jaise Hans-Hans Kar,
Ab Milte Nahi Hum Kisi Se Waise.
Khamosh Rahte Hain Sab Sunn Kar Bhi, Aandhiyon Mein Ho Koi Patthar Jaise.
Bin Tel Ka Diya Tha Main, Jalta Bhi To Jalta Kaise.
Khwab Bade The Armaano Ke, Main Sota Bhi To Sota Kaise.
Dard Bhi Tha To Toote Dil Ka, Main Rota Bhi To Rota Kaise.
Mazboor Bhi Tha Aur Door Bhi Hoon, Ladta Bhi To Ladta Kaise.
Dikhawe Unke Hazaar Sahe, Main Kuchh Kahta Bhi To Kahta Kaise.
Basti Apni Bachi Nahi Ab, Main Rahta Bhi To Rahta Kaise.
Door Nikalne Ka Irada Kar Ke, Ab Main Rukta Bhi To Rukta Kaise..

Thursday, February 21, 2019

Ghazal: Hum Unhehe Na Yaad Aa Sake....

Na Unhone Hume Yaad Kiya, Na Hum Unhe Bhoola Sake.
Thi Humari Arzoo Ke Kaash Unhe Hum Yaad Aa Sake.
Nikal Pade Ye Aksh Bhi Ke Hum Unhe Jata Sake,
Jo Dard Hum Sah Gaye,
Wo Zakham Hum Dikha Sake.
Ek Kashmkash Mein Hi Rah Gaye, Hum Unhe Na Bata Sake.
Na Unhone Hume Yaad Kiya, Na Hum Unhe Bhoola Sake.
Tadap-Tadap Ke Ro Diye, Par Hum Unhe Na Samjha Sake.
Zindagi Mein Fir Kabhi Hum Unhe Na Paa Sake.
Chhod Ke Sab Ye Khwaishen Bhi Khud Ko Hum Na Bahla Sake.
Na Unhone Hume Yaad Kiya, Na Hum Unhe Bhoola Sake.

Tuesday, February 19, 2019

Ghazal: Tum Yaad Aati Rahna...

Chhoot Na Jaaye Ye Likhne Ki Aadat, Tum Bewajah Hi Sahi, Dil Ko Dukhati Rahna.
Main Chahe Lakh Kar Loon Koshishen Bhoolane Ki, Tum Har Pal Har Ghadi, Yunhi Yaad Aati Rahna.
Yunhi Kat Rahi Hai Bina Wajah Ye Zindagi, Sapno Mein Hi Sahi Tum Hansi Khwab Dikhati Rahna.
Hum Lamhon Ko Nahi Ginte, Doobe Tere Khayalon Mein,
Jo Kabhi Milo To Yunhi Mushkurati Rahna.
Nahi Maangta Ab Kuchh Tumse, Jo Gar Chahti Ho Dena,
Tum Bewajah Hi Sahi, Mujhe Rulati Rahna.
Ab Bhi Jeete Hain To Isko Shaukh Na Samjho Meri,
Tere Dar Pe Aayenge, Tum Bas Hume Bulati Rahna.

Monday, February 18, 2019

Ghazal: Hum Tanha The, Tanha Hi Rah Gaye...

Safar Badhta Gaya,
Musafir Badalte Gaye.
Manzil Mili To,
Hum Akele Rah Gaye.
Wo Mile Bhi, Humne Kah Bhi Diya,
Ek Haadsa Hua Wo Badal Gaye.
Humne Bahut Kaha,
Har Baar Hum Jhukte Gaye,
Unpe Na Asar Hua, Wo Bichhad Gaye.
Zindagi Gujarti Gayi,
Apne Bichhadte Gaye.
Hum Tanha The,
Tanha Hi Rah Gaye.
Saasen Chalti Rahi,
Aanshu Bahte Rahe.
Hum Honthon Pe Hansi Lekar,
Sabse Milte Rahe.
Kisi Ne Samjha Nahi,
Kuchh To  Aur Hi Dard De gaye.
Hum Fir Bhi Jeete Rahe,
Unko Yaad Karte Gaye.
Ab Toot Chuke,
Hum Haar Gaye.
Jism Gal Gayi,
Hum Tabah Ho Gaye.

Saturday, February 16, 2019

Ghazal: #onPulwamaAttack

Kabhi Patthar Ki Thokar Se Bhi Kharoch Nahi Aati,
Kabhi Ek Jara Si Baat Pe Insaan Bikhar Jaata Hai.

Sadmein Bhi Jinko Tod Nahi Paati,

Wo Insaan Bhi Waqt Ke Aage Toot Jaata Hai.

Jis Dariya Ko Bahut Gumaan Hai Apne Paani Pe,

Wo Paani Bhi Sagar Mein Simat Jaata Hai.

Na Maang Saboot Unse Tu "Rizwan"

Jo Khud Ko Mitane Sarhad Pe Jaata Hai.

Aaj Dekh Ke Kya Karna Unke Apno Ke Dukh Ko,

Jinki Suni Aankhon Se Bahta Aanshu Har Ek Ko Rula Jaata Hai.

Cheekhen Unke Maasoomon Ki Kya Sunn Paaoge,

Jinki Cheekhen Bhi Patharon Ko pighla Jaata Hai.

Ab To Dekhna Hai Humnein Siyasat Ka Rukh,

Dekhen Unse Kiya Kya Jaata Hai...

Friday, February 15, 2019

Ghazal: Tumko Bhula Denge....


rizw4nkh4n

Is Baar Na Ruthenge,
Na Hi Tumko Koi Saja Denge.
Is Baar Tumko Hum Bhula Denge.
Tere Yaadon Ko Isi Dil Mein Sula Denge.
Apni Ehsaason Ko Hi Mita Denge.
Jab Bhi Gujrenge Tere Karib Se Hum,
Apni Nazron Ko Thoda Jhuka Denge.
Jo Kabhi Aankhon Mein Dikhegi Tasveer Teri,
In Aankhon Ko Bhi Hum Rula Denge.
Jo Tadpegi Ye Saanse Tere Saath Ke Liye,
In Saanso Ko Bhi Waqt Se Pahle Hi Hum Sula Denge.
Jo Bhi Denge Bas Khud Ko Hi Saja Denge,
Jab Hum Tere Hi Nahi To Bhala Tujhe Kya Denge!
Ab Na Lautenge Na Tumko Koi Sada Denge,
Tumhein Humesha Humesha Ke Liye Hum Bhula Denge.

Thursday, February 14, 2019

Ghazal: Yahan Sunta Kaun Hai, Samajhta Kaun Hai...

Iljaam Kise Dun, Gunehgaar Kaun Hai!
Kaatil Kaun Hai, Madadgaar Kaun Hai!
Main To Khata Hun Sabke Haque Ki Baaten, Khair...
Yahan Sunta Kaun Hai, Samjhta Kaun Hai!
Kisi Ke Door Ho Jaane Ka Gham Na Kar,
Yahan Kisi Ke Liye Jeeta Kaun Hai, Marta Kaun Hai!
Na De Jagah Har Kisi Ko Dil Mein Apni,
Yahna Dil Ko Todta Hai Wahi, Jodta Kaun Hai!
Chal Ab Badal Ja Tu Bhi Aur Nikal Chal Apne Raaste,
Yahan Tere Liye Tadapta Kaun Hai, Machalta Kaun Hai!
Jab Tak Sochega Tu Ilaaj In Sabka "Rizwan",
Jara Soch Itni Umar Gujaarta Kaun Hai, Jeeta Kaun Hai!

Wednesday, February 13, 2019

Ghazal: Badal Gaye Ho Tum...

Badal Gaya Hai Waqt Aur Kuchh Badal Gaye Ho Tum,
Ab Koi Waise Bulata Nahi, Bulate The Jaise Tum.
Jo Badal Gaye Ho Tum To Ab Badal Gaye Hain Hum,
Ab Bulayenge Nahi Waise, Bulaate Jaise Hum.
Ho Gayi Hai Raat Aur Kuchh Kho Gaye Ho Tum,
Ab Koi Waise Sulaata Nahi, 
Sulaate Jaise Tum.
Jo Badal Gaye Ho Tum To Ab Badal Gaye Hain hum,
Ab Bulayenge Nahi Waise Bulaate Jaise Hum.
Badal Gaya Hai Chehra Aur Kuchh Badal Gaye Ho Tum,
Ab Koi Waise Hansata Nahi,
Hansate The Jaise Tum.
Kho Gayi Hai Manzil Aur Kuchh Ro Pade Ho Tum,
Ab Koi Pukarta Nahi Hai Waise, Pukarte The Jaise Tum.
Ro Padi Hai Aankhe Kuchh Dil Tod Gaye Ho Tum,
Ab Koi Bahlata Nahi Hai Waise, Bahlate Jaise Tum..

Tuesday, February 12, 2019

Ghazal: Ek Khamosh Hairani Hun Main....


Ek Khamosh Hairani Hun Main,
Ek Bahut Hi Dukh Bhari Kahani Hun Main.

Har Kisi Ke Istemal Ke Baad,
Thoda Sa Rah Gaya Ek Nishani Hun Main.

Bojh Utha Na Saka Jo Armaano Ka,
Wo Nakaam Jawani Hun Main.

Chal Kar Jo Na Mill Saka Samunder Se,
Dariya Ka Wo Tehra Hua Paani Hun Main.

Manzil Tak Jaa Kar Jo Haar Jaaye,
Wo Haara Hua Prani Hun Main.

Sulag Jaaye Jo Logon Ki Rago Mein,
Bujh Chuke Us Ehsaas Ki Rawaani Hun Main.

Jo Poori Na Ho Sake Tere Likhne Se "Rizwan"
Itihaas Ki Wo Adhuri Kahani Hun Main..

Sunday, February 10, 2019

Ghazal: Bas Itni Si Inayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye...

Bas Itni Si Inayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye,
Kabhi Aa Ke Mere Zakhmon Ka Dedaar Kijiye.
Ho Jaayey Begane Aap Shaukh Se Sanam,
Aapke Hain Aapke Rahenge Aitbaar Kijiye.
Padhne Waale Hi Darr Jaayen Dekh Kar Ise,
Kitaab-e-dil Ko Itna Na Daagdaar Kijiye.
Na Mazboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaun,
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye.
In Jalte Diyon Ko Dekhkar Na Muskuraiye,
Jara Hawawon Ke Chalne Ka Intejaar Kijiye.
Karna Hai Ishq Aap Se Karte Rahenge Hum,
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar Kijiye.
Phir Sapno Ka Ashiyaan Bana Liya Hai Maine,
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye.
Hume Na Dikhaiye Ye Daulat Ye Shohrat,
Hum Pyar Ke Bhookhe Hain Hume Pyar Kijiye.

Ghazal: Kya Hua Jo Main Ho Gaya Thoda Bahut Kharab..

Kya Hua Jo Main Kar Gaya Thoda Bahut Mazak,
Thoda Bahut Mazak To Hona Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Ho Gaya Hun Main Thoda Bahut Kharab,
Thoda Bahut Kharab To Hona Bhi Chahiye.
Kah Deta Hun Muh Par To Kya Galat Hai, Sach To Muh Par Kahna Hi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Ho Gaya Hun Thoda Bahut Naraz,
Thoda Bahut Naraz To Hona Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Chal Raha Tha Main Sambhal Kar,
Thoda Bahut Sambhal Kar Chalna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Chalte Huye Main Phisal Pada,
Thoda Bahut To Phisalna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Mill Pada waqt, Be-waqt,
Kabhi-Kabhi Waqt, Be-Waqt Milna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Seekh Gaya Sabak,
Thoda Bahut Sabak To Seekhna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Khud Ko Badal Liya,
Thoda Bahut Badlaao To Hona Bhi Chahiye.

Friday, February 8, 2019

Ghazal: Har Kisi Ko Yahan Sirf Apni Padi Hai...

Har Kisi Ki Yahan Apni Padi Hai, 
Mujhe Meri Padi Hai,
Tujhe Teri Padi Hai!

Dekh Kar Ye Duniya Ab Hans Padi Hai,
Tujhe Itni Bhi Kya Apni Padi Hai?

Ye Har Kisi Ki Zindagi Ki Kathin Ek Ghadi Hai,
Kya Daulat Kisi Ki Khushiyon Se Bhi Badi Hai?

Aaj Har Taraf Sirf Bahas Ye Chhidi Hai,
Har Kisi Ko Yahan Sirf Apni Padi Hai.

Dekho To Manzil Saamne Khadi Hai,
Chalte Kadam Kyun Thak Padi Hai?

Tanha Akele Yun Khadi Hai,
Mehfil To Maano Bhari Padi Hai.

Armaan Jo Teri Machal Padi Hai,
Kya Apno Ki Keemat Usse Badi Hai?

Thokar Jo Chalte- Chalte Padi Hai,
Tere Har Armaano Ke Tukde Bikhri Padi Hai.

Thursday, February 7, 2019

GHAZAL: KUCHH BHI BACHA AB SHESH NAHI..

Sharafat Ke Thikanon Mein,
Dool Udaati In Registanon Mein,
Kya Mera Koi Desh Nahi?

Logon Ke Afshanon Mein,
Dil Mein Uthi In toofanon Mein,
kya Mera Koi Bhesh Nahi?

Phooti Huye Taqdiron Mein,
Gham Ke In Janjeeron Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Udte Huye Aasmano Mein,
Dil Mein Chhupe In Armaano Mein,
Kya  Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Ab Door Kisi Thikano Mein,
Bujhti Huye In shamon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Prem Ke Deewano Mein,
Ujdi Huye In Viranon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Do Take Ke Insano Mein,
Daulat Ke In Haiwano Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Par Kati Udano Mein,
Logon Ke In Taano Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Logon Ke Afshanon Mein,
Jhoothi In Bahanon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Pedon Ki Chhawon Mein,
Bhatakti In Dishaon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Wednesday, February 6, 2019

Ghazal: Jo Pana Hai Ab Uska Hi Thikana Nahi Hai....


Jo Panan Hai Ab Uska Hi Thikana Nahi Hai,
Mere Khawab Ka Ab Koi Aashiyana Nahi Hai.
Wada Tha Saath Nibhayenge Aakhri Tak,
Ye Sach Hai Jise Ab Jhutlana Nahi Hai.
Aankhen Hi Kah Deti Hain Dil Ki Baaten,
Hothon Pe Ab Koi Bahana Nahi Hai.
Haan Chahat Bhi Hai Aur Paane Ka Haunsla Bhi,
Unko Groor Hai Bas Ki Mere Saath Aana Nahi Hai.
Ab Bhi Baithe Hain Khamoshi Se Sunne Unko,
Par Wo Baat Ab Unko Batana Nahi Hai.
Ab Bichhadna Hi Hai Unse To Kya Ummeed Karen,
Unko To Hume Wapas Bulana Hi Nahi Hai.
Royen Bhi Royen Ab Kiske Liye,
Unko To Ab Humko Hansana Bhi Nahi Hai.
Apni Dardon Ko Mujhe Ab Mitana Nahi Hai.
Meri Mazbooriyon Ka Fasana Bhi Kya Ajeeb Hai,
Mujhe Rona Hai Aur Kisi Ko Batana Bhi Nahi Hai..

Tuesday, February 5, 2019

Ghazal: Koi To Unko Bata Dijiye..

                           
Ye Hi Nasib Hai, Kisse Ab Iltija Kijiye?
Ishq Hai Unse, Koi To Unko Bata Dijiye.

Naraz Wo Hain, Kisse Ab Gila Kijiye?
Khush Hum Bhi Nahi, Koi To Unko Bata Dijiye.

Hum Door Hain, Humse Mila Kijiye.
Aap Aa Nahi Sakte, To Humko Hi Bula Lijiye.

Milna Hai Mushkil, To Dua Kijiye.
Hum Pasnad Nahi, To Humko Bata Dijiye.

Ishq Ka Hume, Yun Na Sila Dijiye.
Yun Tadpa Kar Maarne se Behtar Hai, Ek Baar Mein Hi Maar Dijiye.

Na Samajh Hain, Hume Samjha Hi Dijiye.
Ishq Hai Aapse, Ho Sake To Ise Mita Dijiye

Sunday, February 3, 2019

Ghazal: Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka!!!

Andaaj Ab Dekhiye Humare kamaal Ka, Jawab Aapka Denge Ab Har Ek Sawaal Ka. Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Ummeed Hun Liye Huye Ek Naye Saal Ka, Tootega Ye Tilism Kabhi To Mere Haal Ka. Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Daur Hai Naya Aur Shaukh Bhi Nayi, Samajh To Raha Par Soch Hai Wahi. Andaaj Hi Hai Humra Jad Saare Bawaal Ka, Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Aam Si Ek Sakshiyat, Gumnaam Si Zindagi. Dil Mein Hain Kayi Shaukh Aur Chhoti Si Zindagi. Dukh Hai, Narazgi Hai Aur Kayi Baaten Hain Malaal Ka, Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Saturday, February 2, 2019

Swachh Bharat Abhiyan Essay (1400 words – Long Essay)

Hello Friends! Bahut se logon ko  Swachh Bharat Abhiyan Par Essay Ki Jarurat padti hai. Is baar maine ek lamba essay English mein Likhne ki koshish kiya hai. Hope aap sabhi ko Pasand Aayega..

Introduction

Swachh Bharat Abhiyan is started by the government to make India a completely clean India. Clean India was a dream seen by Mahatma Gandhi regarding which he once said that, “Sanitation is more important than Independence”. During his time he was well aware of the poor and dirty condition of the country that’s why he made various efforts to complete his dream however could not be successful.

As he dreamt of clean India one day, he said that both cleanliness and sanitation are integral parts of healthy and peaceful living. Unfortunately, India is still lagging behind in cleanliness and sanitation even after 71 years of independence. According to the statistics, it has seen that very less percentage of total population has access to the toilets. It is a programme run by the government to seriously work to fulfill the vision of Father of Nation (Bapu) by calling people from all walks of life to make it a successful campaign globally.

This mission has to be completed by 150th birth anniversary of Bapu (i.e. 2nd October of 2019) in next five years (from the launch date). It is urged by the government to the people to spend at least 100 hours in a year towards cleanliness in their surrounding areas or other places of India to make it a successful campaign. There are various implementation policies and mechanisms for the programme including three important phases such as planning phase, implementation phase and sustainability phase.

What is Swachh Bharat Abhiyan

Swachh Bharat Abhiyan is a national cleanliness campaign established by the Government of India. This campaign is covering 4041 statutory towns in order to clean roads, streets, and infrastructure of the India. It is a mass movement to create a Clean India by 2019. It is a step ahead to the Mahatma Gandhi’s dream of swachh Bharat for healthy and prosperous life.

This mission was launched on 2nd of October 2014 (145th birth anniversary of Bapu) by targeting its completeness in 2019 on 150th birth anniversary of Bapu. The mission has been implemented to cover all the rural and urban areas of the India under the Ministry of Urban Development and the Ministry of Drinking Water and Sanitation accordingly.

The first cleanliness drive (on 25th of September 2014) of this mission was started by the Indian Prime Minister, Narendra Modi earlier to its launch. This mission has targeted to solve the sanitation problems as well as better waste management all over the India by creating sanitation facilities to all.

Need of Swachh Bharat Abhiyan

Swachh Bharat mission is very necessary to run continuously in India until it gets its goal. It is very essential for the people in India to really get the feeling of physical, mental, social and intellectual well being. It is to advance the living status in India in real means which can be started by bringing all over cleanliness. Below I have mentioned some points proving the urgent need of ‘Swachh Bharat Abhiyan’ in India:

It is really very essential to eliminate the open defecation in India as well as making toilets facility available to everyone.
It is needed in India to convert the insanitary toilets into flushing toilets.
It is necessary in order to eradicate the manual scavenging system.
It is to implement the proper waste management through the scientific processes, hygienic disposal, reuse, and recycling of the municipal solid wastes.
It is to bring behavioral changes among Indian people regarding maintenance of personal hygiene and practice of healthy sanitation methods.
It is to create global awareness among common masses living in rural areas and link it to the public health.
It is to support working bodies to design, execute and operate the waste disposal systems locally.
It is to bring private-sector participation to develop sanitary facilities throughout India.
It is to make India a clean and green India.
It is necessary to improve the quality of life of people in rural areas.
It is to bring sustainable sanitation practices by motivating communities and Panchayati Raj Institutions through the awareness programmes like health education.
It is to bring the dream of Bapu to come true.

Swachh Bharat Mission in Urban Areas

The Swachh Bharat Mission of urban areas aims to cover almost 1.04 crore households in order to provide them 2.6 lakhs of public toilets, 2.5 lakhs of community toilets together with the solid wastes management in every town. Community toilets have been planned to be built in the residential areas where availability of individual household toilets is difficult and public toilets at designated locations including bus stations, tourist places, railway stations, markets, etc.

Cleanliness programme in the urban areas (around 4,401 towns) have been planned to be completed over five years till 2019. The costs of programmes are set, like Rs. 7,366 crore on solid waste management, Rs. 1,828 crore on public awareness, Rs. 655 crore on community toilets, Rs. 4,165 crore on individual household toilets etc.

Programmes which have been targeted to be completed are complete removal of open defecation, converting unsanitary toilets into flush toilets, eradicating manual scavenging, bring behavioral changes among public, and solid waste management.

Gramin Swachh Bharat Mission

Gramin Swachh Bharat Mission is a mission implementing cleanliness programmes in the rural areas. Earlier the Nirmal Bharat Abhiyan (also called Total Sanitation campaign, TSC) was established by the Government of India in 1999 to make rural areas clean however now it has been restructured into the Swachh Bharat Mission (Gramin).

This campaign is aimed to make rural areas free from open defecation till 2019 for which the cost has been estimated is one lakh thirty four thousand crore rupees for constructing approximately 11 crore 11 lakh toilets in the country. There is a big plan of converting waste into bio-fertilizer and useful energy forms. This mission involves the participation of gram panchayat, panchayat samiti and Zila Parishad. Following are the objectives of Swachh Bharat Mission (Gramin):

To improve quality of life of people living in the rural areas.
Motivate people to maintain sanitation in rural areas to complete the vision of Swachh Bharat by 2019.
To motivate local working bodies (such as communities, Panchayati Raj Institutions, etc) to make available the required sustainable sanitation facilities.
Develop advance environmental sanitation systems manageable by the community especially to focus on solid and liquid waste management in the rural areas.
To promote ecologically safe and sustainable sanitation in the rural areas.
Swachh Bharat-Swachh Vidyalaya Campaign

The Swachh Bharat Swachh Vidyalaya campaign is run by the Union Ministry of Human Resource Development having the objectives of cleanliness in the schools. A major programme was organized under it from 25th of September 2014 to 31st of October 2014 in the Kendriya Vidyalayas and Navodaya Vidyalya Sangathans.

Lots of cleanliness activities were held such as discussions over various cleanliness aspects in the school assembly by the students, teachings of Mahatma Gandhi related to cleanliness, cleanliness and hygiene topics, cleaning activities (in the class rooms, libraries, laboratories, kitchen sheds stores, playgrounds, gardens, toilets, pantry areas, etc).

The cleaning of statue in the school area, speech over the contribution of great people, essay writing competitions, debates, art, painting, film, shows, role plays related to hygiene including other many activities on cleanliness and hygiene were also conducted. It was also planned to hold a half an hour cleaning campaign in the schools twice a week involving the cleanliness activities by the teachers, students, parents and community members.

Swachh Bharat Cess

Swachh Bharat cess is an improvement in the service tax by 0.5% on all the services in India. It was started by the Finance Ministry to collect some fund from each and every Indian citizen for the Swachh Bharat Abhiyan in order to make it a huge success. Everyone has to pay extra 50 paise for each 100 rupees spent as service tax for this cleanliness campaign.

Another Cleanliness Initiative in Uttar Pradesh

Yogi Adityanath (Chief Minister of Uttar Pradesh), in March 2017, has banned chewing of paan, paan masala, gutka and other tobacco products (especially in the duty hours) in the government offices to ensure cleanliness. He started this initiative after his first visit to the secretariat annex building when he saw betel-juice stained walls and corners in that building.

Conclusion

We can say Swachh Bharat Abhiyan, is a nice welcome step to make India clean and green till 2019. As we all heard about the most famous proverb that “Cleanliness is Next to Godliness”, we can surely say that Clean India Campaign (Swachh Bharat Abhiyan) will really bring godliness all over the country in few years if it is followed by the people of India in effective manner.

So, the cleanliness activities to warm welcome the godliness have been started but it should not need to be ended if we really want godliness in our lives forever. A healthy country and a healthy society need its citizens to be healthy and clean in every walk of life.


Chunawi Mahol Ko Lekar Do Mitron Ke Beech Samvaad:-

Hii Friends. Mere Bahut se doston Ka Final Examination Nazdeek Hai. Bahut se project bhi mile honge aap sabhi ko likhne ke liye. Mere Bahut se mitron ko chunawi Mahol Ko Lekar Do Mitron Ke Beech Samvaad likhne mein pareshani huye thi. Isliye maine Yahan share kiya hai apna taaki baaki sabhi iska faayda utha saken. Hope aap sabhon ko Pasand aayega....

Ghazal: mayoos Mat Ho Zindagi Mein....

Mayoos Mat Ho Zindagi Mein,
Bura Waqt Hai Ye To Tal Jaayega..
Do Pal Bita  Khushiyon Ke Beech,
Ye Bura Waqt Bhi Jal Jaayega..

Hoga Sham To Ye Suraj Bhi Dhal Jaayega,
Tu Nirash Hi Sahi Bata Ghar Kab Jaayega..
Jo Sunna Tha Unhe, Wo Is Ghazal Mein Mill Jaayega..

Haan, Lekin, Bahuton Ka Chehra Jarur Utar Jaayega..
Kho Kar Khud Ko Tu To Har Ek Ke Dil mein Bas Jaayega, Jo Khud Ki Hi Sochega To Har Ek Ke Dil Se Utar Jaayega..

Lakh Hansa Le Tu Aaj Sabko 'Rizwan'
Ro Padenge Sabhi Ek Din Jab Tu Marr Jaayega..

Friday, February 1, 2019

Ghazal: Jo Bhi Aaye Wo Batane Aaye

Jo Bhi Aaye Wo Batane Aaye,
 Teri Baatein Hi Mujhko Sunane Aaye.
 The Kuchh Dost Apne Bhi Is Jahan mein, Lekin Wo Bhi Dil hi dikhane Aaye.
 Jab Bhi soya to Hasin manzar dekha,
 Kuchh sapne itne suhane Aaye.
 Ab raaton Ko bhi Jaagte rahte Hain ki wo kahin se Hume satane Aaye.
 Aksh apna bahate Hain akele mein hum, Kabhi to Hume is haal mein manane Aaye.

Thursday, January 31, 2019

Ghazal: Ab Kaun Is Jungle Mein Basera Kare???

Ab Kaun Is Jungle Mein Basera Kare,
Manzil Milne Tak Chalen Ya Kuchh Tahra Kare.
Saath Milne Ka To Koi Aasra Dikhta Nahi, Fir Aisa Kaun Hai Jo Tujhe Mera Kare?
Mile Hain Jakham Hazaron To Kya Baat, Unse Kya Ummeed Rakhna Jo Inko Aur Gehra Kare.
Sham Dhalti Hai To Suraj Bhi Chhup Jaata Hai "Rizwan", 
Ab Kaun Raat Bhar Tere Liye Pahra kare.

Ghazal: Apne Haathon Ki Lakeeren Na Badal Paaya...

Apne Haathon Ki Lakeeren Na Badal Paya,
Khushnaseebon Se To Bahut Haath Milaya Maine.
Apne Halaaton Ko Jab Na Badal Paya,
Khud Ko Samjhaya,
Bahut Bahlaya Maine.
Ke Tadap Aur Dard Ko Saha Hai Jaisa,
Ro Padi Har Ek Ki Aankhen,
Jab Ye Haal Sunaya Maine.
Gairon Ko Bhi Bahut Mauke Hain Mile,
Par Apno Ko To Har Ek Baat Pe Hansaya Maine.
Ke Har Ek Zidd Pe Mere,
Jhuk Jaate The Jo,
Apni Khudgarji Ke Liye,
Har Baar Unko Jhukaya Maine.
Isliye To Haara Hoon Ab Tak Zindagi Mein, Jinko Jeetna Tha Unhi Ko Haraya Hai Maine..

Wednesday, January 30, 2019

Clash Of Clans: How to Get 3* On town hall 12 with my magic skills??

Hii Friends, Is Baar Main Hazir Hun Kuchh Naya Lekar. Jaisa Ki New Update Ke Baad Se Clash Of Clans Mein New town hall 12 laaya Gaya Hai, Jis pe 3* Karna Koi Asaan Baat Nahi Hai, Khashkar Max LebeL Giga Tesla Waale Base Pe To Bahut Hi Mushkil Hai. Lekin Doston Main Leke Aaya Hun Iska easy Solution. Mere skill aur Is troops Ko Dekh Kar Aap Sabhi Practice Karo. Ye Bahut Hi Mazedaar Combination Hai Troops Ka And Seekh Lene Ke Baad To Aap Is New Troops Se Kisi Bhi Th12 Ko Easy 3* Kar Doge. Pahle Poore Video Ko 4 se 5 Baar dekhen Aur Fir Practice Karen. Hope Aap Sabhi Ko Pasand Aayega Ye Attack. Aur Pasand Aaye To Comments Karna.

Ghazal: Kya Tum Bhool Paaoge!!!

Agar Main Rooth Jaaunga To Kya Tum Mana Loge!
Agar Tum Mana Loge To Lo Main Rooth Jaata Hoon.
Agar Main Haar Jaaunga To Kya Tum Jeet Jaaoge!
Agar Tum Jeet Jaaoge To Lo Main Haar Jaata Hoon.
Agar Main Door Jaaunga To Kya Tum Bhool Paaoge!
Agar Tum Bhool Paaoge To Lo Main Door Jaata Hoon.
Agar Main Bichhad Jaaunga To Kya Tum Dhoond Laaoge!
Agar Tum Dhoond Laaoge To Lo Main Bichhad Jaata Hoon.
Agar Main Chala Jaaunga To Kya Tum Khush Rah Paaoge!
Agar Tum Khush Rah Paaoge To Lo Main Chala Jaata Hoon.

Tuesday, January 29, 2019

Ghazal

Kisi ko Gira Ke Ye Kya Tum Apni Hasti Bana Rahe Ho,
Apni Pahchaan Ko Dekho, Kitni Sasti Bana Rahe Ho?
Maana Ki Manzil Ko Paane Ki Hasrat Rakhte Ho,
Kisiko Uske Liye Kyun Kasti Bana Rahe Ho?
Basana Hi Hai To Logon Ko Dil Mein Basana Seekh Lo,
Jismein Bas Sako Sirf Tum Kyun Wo Basti Bana Rahe Ho?
Kisi Ko Rula Ke Ye Jo Tum Muskura Rahe Ho,
Apni Khushi Ko Dekho, Kitni Sasti Bana Rahe Ho??

Ghazal: Humhi Us Se Kahen Kya!!

Us Ko Na Khayal Aaye To Hum Muh Se Kahen Kya!
Wo Bhi To Mile Humse Humhi Us se Milen Kya!
Tod Ke Ye Khamoshi Us Se Guftagu Karen Kya!
Wo Isare Se Hi Kuchh To Kahen, Humhi Us Se Kahen Kya!
Narazgi Apni Jahir Bhi Karen Kya!
Wo Khud Hi Samjh Len, Humhi Us se Kahen Kya!
Us Ko Pasand Na Aaye To Hum Khud Ko Badle Kya!
Wo Bhi Kuchh Badle, Humni Sirf Badle Kya!
Us Ko Shikayat Hai To Hum Gila Karen Kya!
Wo Karen Nafrat Humse
Humhi Us Se Karen Kya!

Monday, January 28, 2019

Ghazal: Nazar Rakhta Hoon..

Nazar Rakhta Hoon, Jigar Rakhta Hoon.
Chahta Hoon Isliye, Tumhari Fikar Rakhta Hoon.
Teri Gali Tere Shahar Mein, Aana Jaana Hai Mera Roz Ka.
Tujhse Nahi Milunga,
Is Waade Pe Amal Rakhta Hoon.
Haan Irada Hai Tumhein Paane Ka,
Par Tumko Pasand Nahi Main Ye Bhi Khabar Rakhta Hoon.
Tumse Kahna Tha Ki Aazma Leti Mujhko,
Main Jo Kahta Hun Karne Ki Himmat Rakhta Hoon.
Haan Afsos To Hoga Tumhein Mujhe Thukrane  Ka,
Lekin Main Ab Bhi Dil Mein Tumhari Kadar Rakhta Hun.

Sunday, January 27, 2019

Ghazal: Jara Door To Humko Jaane Do...

Yaad Tumhein Bhi Aayenge, Jara Door To Humko Jaane Do. Tadap Uthoge Tum Bhi Ek Din, Jara Rooth To Humko Jaane Do. Mushkil Abhi Haalaten Hain, Udasi Ki Raaten Hain, Hoga Khushiyon Ka Bhor Bhi, Jara Suraj Ko Nikal To Aane Do. Mushkayenge Har Ek Chehre, Risten Honge Tab Aur Bhi Gahre, Logon Ka Logon Se Pahle Dil To Ye Judd Jaane Do. Tuti Phooti Halat Apni, Mushibaton Ka Pahad Ho, Tod Ke Aage Badhna Hai, Jara Kadam To Mill Kar Badhane Do.

Anti 3* war base Town Hall 12 clash Of clans





All Are Anti 3* War Base Just Try And Drop Your Comments.. 

Ghazal: Numaeesh

                               Numaeesh

Numaeesh Bebasi Ki Meri,
Kismat Ne Lagai Hai.
Tumhi Ko Jeetna Hai,
Tumhi Se Ladai Hai.
Tumhein Pana Hai Namumkin,
Bhoolna Aur Bhi Mushkil.
Ek Taraf Kuwan Aur,
Ek Taraf Khai Hai.
SAB Taare Gin Chuka Hun,
Chandni Bhi Odh Li.
Neend Laane Ki Ye Saari,
Tarkibe Aajmaai Hai.
Andaja Tha Nahi Pahle,
Ishq Marj Hai Buri.
Na Ilaaj Koi Iska,
Na Koi Dawai Hai.
Ab Na Paas Hai Koi,
Na Hi Khash Hai Koi.
Tanhaiyon Ne Bhi Yaari,
Kya Khoob Nibhai Hai.
Wapis Laut Raha Hoon Ab,
Ishq Waali Raahon Se,
Dil To Nahi Kar Raha,
Magar Isi Mein Bhalai Hai.

Friday, January 25, 2019

Ghazal

Khawab Manjil Ke Na Dikhao Mujhko,
Tum Kahan Tak Saath Aaoge Ye Batao Mujhko.
Yun Waadon Mein Na Uljhaao Mujhko, Milne Kab Aaoge Ye To Bataao Mujhko. Yakin Paane Ka Na Dilaao Mujhko,
Hansil Kar Sakte Ho To Bataao Mujhko.
Yun Jamane Ki Tarah Na Aajmaao Mujhko, Kitna Hai Hausla Ye To Dikhao Mujhko. Tariff Husn Ki Na Sunao Mujhko,
Dil Mein Jo Jagah Hai Wo To Dikhao Mujhko.

Ghazal


Bina wajah Hi Aajmaaye Gaye,
Bann Ke Pasnad Hum Thukraye Gaye...
Pahle Jahan Bhar Ke Ye Gham Banaye Gaye, Bahut Socha Gaya Aur Fir Hum Banaye Gaye...
Wakif The Log Mujhse Achchhi Tarah,
Jab Bhi Mauka Mila Hum Istemaal Mein Laaye Gaye...
Dard Ne Bhi Humse Ro Kar Kaha Rizwan, Ek Hum Hi Hain Jo Itna Sataye Gaye...

ग़ज़ल

rizw4nkh4n *ख़ुलूस-ए-दिल = purity of heart *एहतराम = आदर, सम्मान *मिज़ाजपुरसी = हाल-चाल पूछना *बाम = घर में सबसे ऊपर का कोठा और छत *इक़राम =...