Translate

Showing posts with label Poetry By Rizwan. Show all posts
Showing posts with label Poetry By Rizwan. Show all posts

Sunday, February 24, 2019

Ghazal: Rukta Bhi To Rukta Kaise...

Door Raho Humse, Ab Hum Nahi Rahe Pahle Jaise.
Milte The Jaise Hans-Hans Kar,
Ab Milte Nahi Hum Kisi Se Waise.
Khamosh Rahte Hain Sab Sunn Kar Bhi, Aandhiyon Mein Ho Koi Patthar Jaise.
Bin Tel Ka Diya Tha Main, Jalta Bhi To Jalta Kaise.
Khwab Bade The Armaano Ke, Main Sota Bhi To Sota Kaise.
Dard Bhi Tha To Toote Dil Ka, Main Rota Bhi To Rota Kaise.
Mazboor Bhi Tha Aur Door Bhi Hoon, Ladta Bhi To Ladta Kaise.
Dikhawe Unke Hazaar Sahe, Main Kuchh Kahta Bhi To Kahta Kaise.
Basti Apni Bachi Nahi Ab, Main Rahta Bhi To Rahta Kaise.
Door Nikalne Ka Irada Kar Ke, Ab Main Rukta Bhi To Rukta Kaise..

Thursday, February 21, 2019

Ghazal: Hum Unhehe Na Yaad Aa Sake....

Na Unhone Hume Yaad Kiya, Na Hum Unhe Bhoola Sake.
Thi Humari Arzoo Ke Kaash Unhe Hum Yaad Aa Sake.
Nikal Pade Ye Aksh Bhi Ke Hum Unhe Jata Sake,
Jo Dard Hum Sah Gaye,
Wo Zakham Hum Dikha Sake.
Ek Kashmkash Mein Hi Rah Gaye, Hum Unhe Na Bata Sake.
Na Unhone Hume Yaad Kiya, Na Hum Unhe Bhoola Sake.
Tadap-Tadap Ke Ro Diye, Par Hum Unhe Na Samjha Sake.
Zindagi Mein Fir Kabhi Hum Unhe Na Paa Sake.
Chhod Ke Sab Ye Khwaishen Bhi Khud Ko Hum Na Bahla Sake.
Na Unhone Hume Yaad Kiya, Na Hum Unhe Bhoola Sake.

Tuesday, February 19, 2019

Ghazal: Tum Yaad Aati Rahna...

Chhoot Na Jaaye Ye Likhne Ki Aadat, Tum Bewajah Hi Sahi, Dil Ko Dukhati Rahna.
Main Chahe Lakh Kar Loon Koshishen Bhoolane Ki, Tum Har Pal Har Ghadi, Yunhi Yaad Aati Rahna.
Yunhi Kat Rahi Hai Bina Wajah Ye Zindagi, Sapno Mein Hi Sahi Tum Hansi Khwab Dikhati Rahna.
Hum Lamhon Ko Nahi Ginte, Doobe Tere Khayalon Mein,
Jo Kabhi Milo To Yunhi Mushkurati Rahna.
Nahi Maangta Ab Kuchh Tumse, Jo Gar Chahti Ho Dena,
Tum Bewajah Hi Sahi, Mujhe Rulati Rahna.
Ab Bhi Jeete Hain To Isko Shaukh Na Samjho Meri,
Tere Dar Pe Aayenge, Tum Bas Hume Bulati Rahna.

Monday, February 18, 2019

Ghazal: Hum Tanha The, Tanha Hi Rah Gaye...

Safar Badhta Gaya,
Musafir Badalte Gaye.
Manzil Mili To,
Hum Akele Rah Gaye.
Wo Mile Bhi, Humne Kah Bhi Diya,
Ek Haadsa Hua Wo Badal Gaye.
Humne Bahut Kaha,
Har Baar Hum Jhukte Gaye,
Unpe Na Asar Hua, Wo Bichhad Gaye.
Zindagi Gujarti Gayi,
Apne Bichhadte Gaye.
Hum Tanha The,
Tanha Hi Rah Gaye.
Saasen Chalti Rahi,
Aanshu Bahte Rahe.
Hum Honthon Pe Hansi Lekar,
Sabse Milte Rahe.
Kisi Ne Samjha Nahi,
Kuchh To  Aur Hi Dard De gaye.
Hum Fir Bhi Jeete Rahe,
Unko Yaad Karte Gaye.
Ab Toot Chuke,
Hum Haar Gaye.
Jism Gal Gayi,
Hum Tabah Ho Gaye.

Saturday, February 16, 2019

Ghazal: #onPulwamaAttack

Kabhi Patthar Ki Thokar Se Bhi Kharoch Nahi Aati,
Kabhi Ek Jara Si Baat Pe Insaan Bikhar Jaata Hai.

Sadmein Bhi Jinko Tod Nahi Paati,

Wo Insaan Bhi Waqt Ke Aage Toot Jaata Hai.

Jis Dariya Ko Bahut Gumaan Hai Apne Paani Pe,

Wo Paani Bhi Sagar Mein Simat Jaata Hai.

Na Maang Saboot Unse Tu "Rizwan"

Jo Khud Ko Mitane Sarhad Pe Jaata Hai.

Aaj Dekh Ke Kya Karna Unke Apno Ke Dukh Ko,

Jinki Suni Aankhon Se Bahta Aanshu Har Ek Ko Rula Jaata Hai.

Cheekhen Unke Maasoomon Ki Kya Sunn Paaoge,

Jinki Cheekhen Bhi Patharon Ko pighla Jaata Hai.

Ab To Dekhna Hai Humnein Siyasat Ka Rukh,

Dekhen Unse Kiya Kya Jaata Hai...

Friday, February 15, 2019

Ghazal: Tumko Bhula Denge....


rizw4nkh4n

Is Baar Na Ruthenge,
Na Hi Tumko Koi Saja Denge.
Is Baar Tumko Hum Bhula Denge.
Tere Yaadon Ko Isi Dil Mein Sula Denge.
Apni Ehsaason Ko Hi Mita Denge.
Jab Bhi Gujrenge Tere Karib Se Hum,
Apni Nazron Ko Thoda Jhuka Denge.
Jo Kabhi Aankhon Mein Dikhegi Tasveer Teri,
In Aankhon Ko Bhi Hum Rula Denge.
Jo Tadpegi Ye Saanse Tere Saath Ke Liye,
In Saanso Ko Bhi Waqt Se Pahle Hi Hum Sula Denge.
Jo Bhi Denge Bas Khud Ko Hi Saja Denge,
Jab Hum Tere Hi Nahi To Bhala Tujhe Kya Denge!
Ab Na Lautenge Na Tumko Koi Sada Denge,
Tumhein Humesha Humesha Ke Liye Hum Bhula Denge.

Thursday, February 14, 2019

Ghazal: Yahan Sunta Kaun Hai, Samajhta Kaun Hai...

Iljaam Kise Dun, Gunehgaar Kaun Hai!
Kaatil Kaun Hai, Madadgaar Kaun Hai!
Main To Khata Hun Sabke Haque Ki Baaten, Khair...
Yahan Sunta Kaun Hai, Samjhta Kaun Hai!
Kisi Ke Door Ho Jaane Ka Gham Na Kar,
Yahan Kisi Ke Liye Jeeta Kaun Hai, Marta Kaun Hai!
Na De Jagah Har Kisi Ko Dil Mein Apni,
Yahna Dil Ko Todta Hai Wahi, Jodta Kaun Hai!
Chal Ab Badal Ja Tu Bhi Aur Nikal Chal Apne Raaste,
Yahan Tere Liye Tadapta Kaun Hai, Machalta Kaun Hai!
Jab Tak Sochega Tu Ilaaj In Sabka "Rizwan",
Jara Soch Itni Umar Gujaarta Kaun Hai, Jeeta Kaun Hai!

Wednesday, February 13, 2019

Ghazal: Badal Gaye Ho Tum...

Badal Gaya Hai Waqt Aur Kuchh Badal Gaye Ho Tum,
Ab Koi Waise Bulata Nahi, Bulate The Jaise Tum.
Jo Badal Gaye Ho Tum To Ab Badal Gaye Hain Hum,
Ab Bulayenge Nahi Waise, Bulaate Jaise Hum.
Ho Gayi Hai Raat Aur Kuchh Kho Gaye Ho Tum,
Ab Koi Waise Sulaata Nahi, 
Sulaate Jaise Tum.
Jo Badal Gaye Ho Tum To Ab Badal Gaye Hain hum,
Ab Bulayenge Nahi Waise Bulaate Jaise Hum.
Badal Gaya Hai Chehra Aur Kuchh Badal Gaye Ho Tum,
Ab Koi Waise Hansata Nahi,
Hansate The Jaise Tum.
Kho Gayi Hai Manzil Aur Kuchh Ro Pade Ho Tum,
Ab Koi Pukarta Nahi Hai Waise, Pukarte The Jaise Tum.
Ro Padi Hai Aankhe Kuchh Dil Tod Gaye Ho Tum,
Ab Koi Bahlata Nahi Hai Waise, Bahlate Jaise Tum..

Tuesday, February 12, 2019

Ghazal: Ek Khamosh Hairani Hun Main....


Ek Khamosh Hairani Hun Main,
Ek Bahut Hi Dukh Bhari Kahani Hun Main.

Har Kisi Ke Istemal Ke Baad,
Thoda Sa Rah Gaya Ek Nishani Hun Main.

Bojh Utha Na Saka Jo Armaano Ka,
Wo Nakaam Jawani Hun Main.

Chal Kar Jo Na Mill Saka Samunder Se,
Dariya Ka Wo Tehra Hua Paani Hun Main.

Manzil Tak Jaa Kar Jo Haar Jaaye,
Wo Haara Hua Prani Hun Main.

Sulag Jaaye Jo Logon Ki Rago Mein,
Bujh Chuke Us Ehsaas Ki Rawaani Hun Main.

Jo Poori Na Ho Sake Tere Likhne Se "Rizwan"
Itihaas Ki Wo Adhuri Kahani Hun Main..

Sunday, February 10, 2019

Ghazal: Kya Hua Jo Main Ho Gaya Thoda Bahut Kharab..

Kya Hua Jo Main Kar Gaya Thoda Bahut Mazak,
Thoda Bahut Mazak To Hona Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Ho Gaya Hun Main Thoda Bahut Kharab,
Thoda Bahut Kharab To Hona Bhi Chahiye.
Kah Deta Hun Muh Par To Kya Galat Hai, Sach To Muh Par Kahna Hi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Ho Gaya Hun Thoda Bahut Naraz,
Thoda Bahut Naraz To Hona Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Chal Raha Tha Main Sambhal Kar,
Thoda Bahut Sambhal Kar Chalna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Chalte Huye Main Phisal Pada,
Thoda Bahut To Phisalna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Mill Pada waqt, Be-waqt,
Kabhi-Kabhi Waqt, Be-Waqt Milna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Seekh Gaya Sabak,
Thoda Bahut Sabak To Seekhna Bhi Chahiye.
Kya Hua Jo Main Khud Ko Badal Liya,
Thoda Bahut Badlaao To Hona Bhi Chahiye.

Friday, February 8, 2019

Ghazal: Har Kisi Ko Yahan Sirf Apni Padi Hai...

Har Kisi Ki Yahan Apni Padi Hai, 
Mujhe Meri Padi Hai,
Tujhe Teri Padi Hai!

Dekh Kar Ye Duniya Ab Hans Padi Hai,
Tujhe Itni Bhi Kya Apni Padi Hai?

Ye Har Kisi Ki Zindagi Ki Kathin Ek Ghadi Hai,
Kya Daulat Kisi Ki Khushiyon Se Bhi Badi Hai?

Aaj Har Taraf Sirf Bahas Ye Chhidi Hai,
Har Kisi Ko Yahan Sirf Apni Padi Hai.

Dekho To Manzil Saamne Khadi Hai,
Chalte Kadam Kyun Thak Padi Hai?

Tanha Akele Yun Khadi Hai,
Mehfil To Maano Bhari Padi Hai.

Armaan Jo Teri Machal Padi Hai,
Kya Apno Ki Keemat Usse Badi Hai?

Thokar Jo Chalte- Chalte Padi Hai,
Tere Har Armaano Ke Tukde Bikhri Padi Hai.

Thursday, February 7, 2019

GHAZAL: KUCHH BHI BACHA AB SHESH NAHI..

Sharafat Ke Thikanon Mein,
Dool Udaati In Registanon Mein,
Kya Mera Koi Desh Nahi?

Logon Ke Afshanon Mein,
Dil Mein Uthi In toofanon Mein,
kya Mera Koi Bhesh Nahi?

Phooti Huye Taqdiron Mein,
Gham Ke In Janjeeron Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Udte Huye Aasmano Mein,
Dil Mein Chhupe In Armaano Mein,
Kya  Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Ab Door Kisi Thikano Mein,
Bujhti Huye In shamon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Prem Ke Deewano Mein,
Ujdi Huye In Viranon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Do Take Ke Insano Mein,
Daulat Ke In Haiwano Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Par Kati Udano Mein,
Logon Ke In Taano Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Logon Ke Afshanon Mein,
Jhoothi In Bahanon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Pedon Ki Chhawon Mein,
Bhatakti In Dishaon Mein,
Kya Kuchh Bhi Bacha Ab Shesh Nahi?

Wednesday, February 6, 2019

Ghazal: Jo Pana Hai Ab Uska Hi Thikana Nahi Hai....


Jo Panan Hai Ab Uska Hi Thikana Nahi Hai,
Mere Khawab Ka Ab Koi Aashiyana Nahi Hai.
Wada Tha Saath Nibhayenge Aakhri Tak,
Ye Sach Hai Jise Ab Jhutlana Nahi Hai.
Aankhen Hi Kah Deti Hain Dil Ki Baaten,
Hothon Pe Ab Koi Bahana Nahi Hai.
Haan Chahat Bhi Hai Aur Paane Ka Haunsla Bhi,
Unko Groor Hai Bas Ki Mere Saath Aana Nahi Hai.
Ab Bhi Baithe Hain Khamoshi Se Sunne Unko,
Par Wo Baat Ab Unko Batana Nahi Hai.
Ab Bichhadna Hi Hai Unse To Kya Ummeed Karen,
Unko To Hume Wapas Bulana Hi Nahi Hai.
Royen Bhi Royen Ab Kiske Liye,
Unko To Ab Humko Hansana Bhi Nahi Hai.
Apni Dardon Ko Mujhe Ab Mitana Nahi Hai.
Meri Mazbooriyon Ka Fasana Bhi Kya Ajeeb Hai,
Mujhe Rona Hai Aur Kisi Ko Batana Bhi Nahi Hai..

Tuesday, February 5, 2019

Ghazal: Koi To Unko Bata Dijiye..

                           
Ye Hi Nasib Hai, Kisse Ab Iltija Kijiye?
Ishq Hai Unse, Koi To Unko Bata Dijiye.

Naraz Wo Hain, Kisse Ab Gila Kijiye?
Khush Hum Bhi Nahi, Koi To Unko Bata Dijiye.

Hum Door Hain, Humse Mila Kijiye.
Aap Aa Nahi Sakte, To Humko Hi Bula Lijiye.

Milna Hai Mushkil, To Dua Kijiye.
Hum Pasnad Nahi, To Humko Bata Dijiye.

Ishq Ka Hume, Yun Na Sila Dijiye.
Yun Tadpa Kar Maarne se Behtar Hai, Ek Baar Mein Hi Maar Dijiye.

Na Samajh Hain, Hume Samjha Hi Dijiye.
Ishq Hai Aapse, Ho Sake To Ise Mita Dijiye

Sunday, February 3, 2019

Ghazal: Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka!!!

Andaaj Ab Dekhiye Humare kamaal Ka, Jawab Aapka Denge Ab Har Ek Sawaal Ka. Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Ummeed Hun Liye Huye Ek Naye Saal Ka, Tootega Ye Tilism Kabhi To Mere Haal Ka. Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Daur Hai Naya Aur Shaukh Bhi Nayi, Samajh To Raha Par Soch Hai Wahi. Andaaj Hi Hai Humra Jad Saare Bawaal Ka, Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Aam Si Ek Sakshiyat, Gumnaam Si Zindagi. Dil Mein Hain Kayi Shaukh Aur Chhoti Si Zindagi. Dukh Hai, Narazgi Hai Aur Kayi Baaten Hain Malaal Ka, Main Hun Ek Naye Jamane Ka Ladka Poorane Khayal Ka.

Saturday, February 2, 2019

Ghazal: mayoos Mat Ho Zindagi Mein....

Mayoos Mat Ho Zindagi Mein,
Bura Waqt Hai Ye To Tal Jaayega..
Do Pal Bita  Khushiyon Ke Beech,
Ye Bura Waqt Bhi Jal Jaayega..

Hoga Sham To Ye Suraj Bhi Dhal Jaayega,
Tu Nirash Hi Sahi Bata Ghar Kab Jaayega..
Jo Sunna Tha Unhe, Wo Is Ghazal Mein Mill Jaayega..

Haan, Lekin, Bahuton Ka Chehra Jarur Utar Jaayega..
Kho Kar Khud Ko Tu To Har Ek Ke Dil mein Bas Jaayega, Jo Khud Ki Hi Sochega To Har Ek Ke Dil Se Utar Jaayega..

Lakh Hansa Le Tu Aaj Sabko 'Rizwan'
Ro Padenge Sabhi Ek Din Jab Tu Marr Jaayega..

ग़ज़ल

rizw4nkh4n *ख़ुलूस-ए-दिल = purity of heart *एहतराम = आदर, सम्मान *मिज़ाजपुरसी = हाल-चाल पूछना *बाम = घर में सबसे ऊपर का कोठा और छत *इक़राम =...