Translate

Sunday, January 27, 2019

Ghazal: Numaeesh

                               Numaeesh

Numaeesh Bebasi Ki Meri,
Kismat Ne Lagai Hai.
Tumhi Ko Jeetna Hai,
Tumhi Se Ladai Hai.
Tumhein Pana Hai Namumkin,
Bhoolna Aur Bhi Mushkil.
Ek Taraf Kuwan Aur,
Ek Taraf Khai Hai.
SAB Taare Gin Chuka Hun,
Chandni Bhi Odh Li.
Neend Laane Ki Ye Saari,
Tarkibe Aajmaai Hai.
Andaja Tha Nahi Pahle,
Ishq Marj Hai Buri.
Na Ilaaj Koi Iska,
Na Koi Dawai Hai.
Ab Na Paas Hai Koi,
Na Hi Khash Hai Koi.
Tanhaiyon Ne Bhi Yaari,
Kya Khoob Nibhai Hai.
Wapis Laut Raha Hoon Ab,
Ishq Waali Raahon Se,
Dil To Nahi Kar Raha,
Magar Isi Mein Bhalai Hai.

No comments:

Post a Comment

ग़ज़ल

rizw4nkh4n *ख़ुलूस-ए-दिल = purity of heart *एहतराम = आदर, सम्मान *मिज़ाजपुरसी = हाल-चाल पूछना *बाम = घर में सबसे ऊपर का कोठा और छत *इक़राम =...