Translate

Sunday, February 10, 2019

Ghazal: Bas Itni Si Inayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye...

Bas Itni Si Inayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye,
Kabhi Aa Ke Mere Zakhmon Ka Dedaar Kijiye.
Ho Jaayey Begane Aap Shaukh Se Sanam,
Aapke Hain Aapke Rahenge Aitbaar Kijiye.
Padhne Waale Hi Darr Jaayen Dekh Kar Ise,
Kitaab-e-dil Ko Itna Na Daagdaar Kijiye.
Na Mazboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaun,
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye.
In Jalte Diyon Ko Dekhkar Na Muskuraiye,
Jara Hawawon Ke Chalne Ka Intejaar Kijiye.
Karna Hai Ishq Aap Se Karte Rahenge Hum,
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar Kijiye.
Phir Sapno Ka Ashiyaan Bana Liya Hai Maine,
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye.
Hume Na Dikhaiye Ye Daulat Ye Shohrat,
Hum Pyar Ke Bhookhe Hain Hume Pyar Kijiye.

No comments:

Post a Comment

ग़ज़ल

rizw4nkh4n *ख़ुलूस-ए-दिल = purity of heart *एहतराम = आदर, सम्मान *मिज़ाजपुरसी = हाल-चाल पूछना *बाम = घर में सबसे ऊपर का कोठा और छत *इक़राम =...